Sunday, September 28, 2014

Shah e Arzo Samaa Naat Lyrics

Shah e Arzo Samaa Naat Lyrics


Shah e Arzo Sama Serwar e Anbiya
Tera Lutfo Inayat ke Kya Baat Hai
Ban ke Aaya Hai Tu Rahmat e Do Jhan
Tery Jud o Sakhawat ke Kya baat hai
----------------------------------------
Muhtaram bhi Bohat Mohtasham Bhi Bohat
Anbiya Dusra Jon Ke Bhaja Gaye
Un pe Eman hamara hai pukhta magar
Tery Shan e Risalat ke kya baat hai
----------------------------------------
Aasman ke taraf tu jo chahra kara
Rub kabah bhi qibla ka rukh mor da
Hai raza ma tery tera Khaliq Bhi khush
Tery Rub se rafaqat ke kya baat hai
----------------------------------------
Masjidain Roza Daikha Bara Ja Baja
Wo Haseen o Munawar Bara Hain Megar
Masjid e Mustafa Roza e Mujtaba
Tery Husna Immarat ke kya baat hai
----------------------------------------
Jis ka koi nahi uska gam khar tu
Be saharon ka hami mdad gaar tu
Hai yateem o Gareebo ka tu Aasra
Tery Bharpoor Shafqat ke kya baat hai
----------------------------------------
Jibraeel e Amin tera Qasid Hua
Khud Khuda tery Aamad ka shahid Hua
Sidra Tul Muntaha se tu Aaga Gya
Tery Khaliq se Qurbat ke kya baat hai
----------------------------------------


Thumbnail

Written Naat Shah e Arzo Sama Serwar e Anbiya

No comments:

Post a Comment